| Submit Now Your SMS |
|
|
Urdu Shairy sms
|
|
Total:
117 | Displaying: 1 - 20 | Pages: 1 2 3 4 5 6 >> |
|
|
yaad Send This SMS Free on Mobile
kabi tu aasmaan sy chand utry jaam ho jay
tumary naam ki aik khubsurat shaam ho jay
main ehtyatin bi iss gali sy kam guzarta hoon
koi masoom kuin mery liye badnaam ho jay
main janta hoon pher uss ka thakana kahaan ho ga
parinda jub koi aasmaan choony main nakaam ho jay
ujaly apni yadoon k humary sath rehny do
najany kiss gali main zindagi ki shaam ho jay
|
Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste, Send This SMS Free on Mobile
Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
Anjane mod par kuch log dost ban jate hain,
Milne ki khushi de ya na de,
Bichadne ka gum zaroor de jate hain.
|
Na tha kuch to Kuda tha,Kuch na hota to KHUDA hota Send This SMS Free on Mobile
Na tha kuch to Kuda tha,Kuch na hota to KHUDA hota......
Daboya mujhko honey ne,na hota to kya hota
Howi muddat k GHALIB mar gaya,par yaad aata hai......
Woh har ik baat pe youn kahna k youn hota to kya hota
|
Hum to karte hi rah gaye unka intazaar Send This SMS Free on Mobile
Hum to karte hi rah gaye unka intazaar ye soch kar ki sayad wo bhi karte honge humse pyar,aise hi guzar gaye kai saal.Phir lagne laga pyar ka dusra naam hi hai intezaar.Phir bhi kyoon kam nahi hota ye pyar?? kaas pahale hi kar diya hota humne aietebaar,Aaj ye to malum hota ki kya unhe bhi hai humse pyar???
|
Meri mohabbat fanah kaun karega Send This SMS Free on Mobile
Meri mohabbat fanah kaun karega,
sab nek banege to gunah kaun karega,
aye khuda us bewafa ko salamaat rakhna,
warna meri maut Takdeer se main sataya gaya hun,
|
ishq kii rasm ko is tarah nibhaayaa ham ne Send This SMS Free on Mobile
justajuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne
tujh ko rusavaa na kiyaa Khud bhii pashemaa.N na huye
ishq kii rasm ko is tarah nibhaayaa ham ne
|
jo mehdood se lamhon main mila tha hum ko Send This SMS Free on Mobile
jo mehdood se lamhon main mila tha hum ko
bohat fursat se usse hum yaad kiya karte hain
tum ne dekhe hi nahin ehal_e_junon ke tamaashe
do pal ki roshani pe dil phoonk diya karte hain
dekh liya dor se biphri hoii Mujon ke hangaam
ab zara ek nazar,hum doob ke kiya karte hain
|
Baharon ko sada dena mujhe acha nahi lagta Send This SMS Free on Mobile
Kisi ki aankh main younhi to ansoo a nahi jatey
Sabab iska bata dena mujhe acha nahi lagta
Khizan ke dour main jeene ke bhi andaaz hote hain
Baharon ko sada dena mujhe acha nahi lagta
|
Who jaate huwe keh gaye Send This SMS Free on Mobile
Who jaate huwe keh gaye ki ab to hum sirf tumhare khwabo me hi ayenge.koi keh de unse ek bar waada to kar le hum zindegi bhar ke liye so jayenge
|
Kisiko kisi pe aithbaar ho jaata hai Send This SMS Free on Mobile
Kisiko kisi pe aithbaar ho jaata hai
khubiyon se nahi hoti hai mohabbat
kamiyon se bhi aksar pyar ho jaata hai
|
KHOOBSURAT HAI HASI TUMHARI Send This SMS Free on Mobile
KHOOBSURAT HAI HASI TUMHARI
BANA DIJIYE ISE KISMAT HAMARI, AUR KYA
CHAHIYE UNHE JEENE KE LIYE JISE MILI HO DOSTI TUMHARI
|
ajab halaat-e-zindgi may Send This SMS Free on Mobile
ajab halaat-e-zindgi may..
ek roz musafir bhatka tha,
tanha tha udas tha..
ik aas lagaye bhaita tha..
najanay ankho say kitnay sailab bahaye bhaita tha..
ik sawal tha us k mann may///
najanay kitnay diay bhujaye bhaita tha,,
us k hath may qismat kee lakeerain he na the<
bus shayad///
taqdeer k khail he say jaan churaye bhaita tha,
kisi soch may shayad gum tha wo,
bus tapti chaon may moat ka intezar liay bhaita tha""""""""""
|
Wada Karo.. Send This SMS Free on Mobile
Khusbo'on ki tarha meri har saans main
Piyar apna basanay ka wada karo
Ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
Meray dil main sajanay ka wada karo
Hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
Phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
Yoonhi meri tasali ki khatir zara
Mujko apna bananay ka wada karo
Jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
Dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
Baarha kar chukay ho, magar aj phir
Mujhko apna bananay ka wada karo
Sirf lafzoon say iqrar hota nahi
Ik janib say hi piyar hota nahi
Main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
Tum mujko na bhulanay ka wada karo.
|
Kudh hi ko haar ilzaam de ker humne unhe kabhi ruswa na kiya Send This SMS Free on Mobile
Kudh hi ko haar ilzaam de ker humne unhe kabhi ruswa na kiya,
thi humari wafa kuch esi,unse hui jo khata kabhi sikwa na kiya,
per kudha ko mang baithe hum kudha se yu duwaoo mai....
jo mila kya kehte kisi se,bus iss duwa ke baad humne koi dua na kiya...
|
Jab milte nahi Send This SMS Free on Mobile
Jab milte nahi,
Baat karte nahi,
To kyun aisa lagta hai,
Maksad pura hua nahi.
Kuch karte nahi hum,
Bas sapne dekhte hain hum,
Kyun aisa hota hai,
Bata mere sanam.
Yaad aati hai bahut,
Jaan jaati hai bahut,
Magar mil nahi hum paate,
Yeh achcha nahi bahut.
Humein hota hai pyaar,
Aur yeh dil bekaraar,
Magar aisa kyun hota,
Pata nahi mere yaa
|
Mein nay Tumhein Send This SMS Free on Mobile
Mein nay Tumhein
Apni mohabbat kay saher say,
Wafawoon kee jageeroon say
Or wadoon kee zanjeeroon say
Azaad kia
Khuda_Ra Yeh mat poochna ky
Mein nay khud ko
Tumhari qaid say azad
kia ya nahin
Yaqeen jano,,,,,,,
Mein un qaidyoon meinsay hoon
Jo khulay darwazay daikh ker bhee
Farar nahin hotay,,,,,,,,,
Humein hota hai pyaar,
Aur yeh dil bekaraar,
Magar aisa kyun hota,
Pata nahi mere yaar.
|
Uski aankhain bhar aain Send This SMS Free on Mobile
Mujhy aksar wo kahti hai
Ky kitni bar kahty ho
Mujhy tum sy muhabat hai
Ky ab dil pay ya kahny sy
Asar koi nahe hota
Magar jab ajj danista
Nahe bola usy mai ny
Mujhy tum sy muhabat hai
Tu
Uski aankhain bhar aain
|
tum jis khawab mein ankhain kholo, us ka roop amar Send This SMS Free on Mobile
tum jis khawab mein ankhain kholo, us ka roop amar
tum jis rang ka kapara pehno, wo mason ka rang
tum jis phool ko hans k dekho, kabhi na murjhae
tum jis harf per ungli rakh do woo roshon ho jae
tere sooch sa peecha chura ka dekha hai
tere yadd sa daman bacha k dheka hai
tere dedar sa ankha chura ka dheka hai
muje mere jan ki kasam
ma na tuje lakh bar bhula ker dheka hai
tuja bhol sakta to bhol jata
ma na tera lia bhoat bar apna app ko bhula ker dheka
tu nai to kuch b nai hai
man na khuad ko bhoat bar azma ka dekha hai
|
kitaabon main mere fasaaney dhoondtey hain Send This SMS Free on Mobile
kitaabon main mere fasaaney dhoondtey hain,
nadaan hain guzrey zamaney dhoondtey hain,
jab woh“ they....!!!talaash-e-zindagee bhee thee,
ab to maut k thikaaney dhoondtey hain..!!
kal khud hee apnee mehfil se nikala tha..!!
aaj huye se deewaaney,dhoondtey hain..!!
musafir be-khabr hain teri aankhon se,
tere sheher main maikhaaney dhoondtey hain,
tujhe kiya khabr aey sitam dhaaney waaley,
hum to roney k bahaney dhoondtey hain..!!
unkee ankhon ko yun dekho na!!
naye teer hain..!!nishaaney dhoondtey hain
|
Aaj Aayi Un Ki Yaad Send This SMS Free on Mobile
Aaj Aayi Un Ki Yaad Tou
Bechain Ho Gaye Hum
Ashq Aankhon Say Behnay Lagay
Aur Bohat Roye Hum
Khuda Say Bas Ki Thi Itni Hee Ilteja
K Yaad Na Aaye Unki Kabhi
Khuda Nay Bhi Baat Na Maani
Aur Bohat Roye Hum
|
|
Urdu Shairy sms
|
|
Total:
117 | Displaying: 1 - 20 | Pages: 1 2 3 4 5 6 >> |
|
|